apne blog/website par push notification bell icon lagayen
apne blog/website par push notification bell icon lagaiye
hi friends, aaj ki post me me apko
batane wala hun ki aap apne blog ya website par push notification bell icon
kese lagayen. ji han doston ab aap bhi apni website ya blog par push
notification bell icon laga skte hen. bell icon lagane ka fayda ye hai ki apke
blog par ana wala koi visitor agar apke blog ya us par hui activity ko follow
karna chahta hai to wo is icon par click karke apke blog ko follow kar sakta
hai or usko apke dwara ki gayi har post ka notification milta rahega.
bell icon lalane ke liye aapko https://onesignal.com/ website par jana hoga yahan par aap apne google account se sign in
kar leejiye. sign in hone ke baad app add a new app par click karen. name Column open hoga yahan par app ka name
tip karen or create par click karen. iske baad aapke samne is tarah ki window
hogi
yahan par apko web push par
click karna hai or next par click kar deejiye. iske baad aapko 3 option
nazar ayenge yahan aap beech wala option website
builder choose karen. iske baad aapki wesite jis platform par hai wo
plate form choose karen agar apki website blogger par hai to blogger choose
karen. iske baad usi page par neeche ki taraf name column me aap apni website ya
blogger ka name type karen or url column me apne blog ya website ka url link
paste kar den. iske bad add a promote par click karen.
iske baad aap agar large icon
rakhna chahte hain to large par click karen or small icon chahte hain to small
par, left, right apne hisab se jo apko better lage adjustment kar click karen or save kar deejiye. ab ek script code apke samne ayega usme se
aap sirf app id copy karen or notepad par paste karke rakhen. iske baad aap
neeche jo code diya gaya hai use copy kar leejiye.
ab aap apne blog par jayen or layout par click karen fir add a gadget par click karen. jesa ki neeche dee gai image me bataya gaya hai.
| apne blogwebsite par push notification bell icon lagayen |
ek chhoti widow open hogi yahan se aap java/html choose karen. name row me koi bhi name deejiye. neeche box me aap hamare code ko paste kar deejiye ab is code me jahan par "YOUR APP ID" likha hai usko remove karke uski jagah par aap wo id paste karen jo aapne website se copy kee thee. or save kar deejiye. that's it.
friends aapki processing complete ho chuki hai. aap apne blog ka preview dekh sakte hain.
ummeed hai friends aapko hamari ye
post zaroor pasand aai hogi agar aapko koi cheez samajh me nahin aati hai to
aap hame coment bhi kar sakte hai. friends
agar aapko hamari ye post pasand aayi ho to aap hamari website ke bell icon ko
dabakar subskribe kar sakte hain or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar
leejiy taki aap hamari har nai post or video se update rah saken. thanks.

0 comments:
thanks for coment